NIMN RAKTCHAP
( In hindi )
Sharir me rakt ki adhik kami hone ke karan stree-purushon me nimn raktchap ki utpati hoti hai. Raktalpata (yenimiya) rog ke karan adhikansh wykti nimn raktchap se pidit hoten hain. Sharirik nirbalta hone par jab koi adhik mansik shram karta hai to nimn raktchap ka shikar hota hai.
Nimn raktchap me rogi ko bahut ghabrahat hoti hai. Netron ke samne andhera chha jata hai . Sir chakrane lagta hai. Smaranshakti chhin ho jati hai rogi bahut thkawat anubhaw karta hai.
GHARELU CHIKITSA :-
1) Nimn raktchap ke nwaran ke liye prtidin gajar ke 200 gram ras me palak ka 50 gram ras milakar pina chahiye.
2) Aawle ke 20 gram ras me 10 gram madhu milakar kuchh dino tak nrantar sewan karne se niman raktchap nasht hota hai.
3) 50 gram chana or 10 gram kismis ko ratri ke samay 200 gram jal me dal kar rakh de. Prata uth kar us chana or kismis ko chaba kar khayen. Us jal ko bhi pi jayen. Kuchh saptah me nimn raktchap nasht ho jata hai.
4) Partidin aanwle ka murabba sewan krne se nimn raktchap nasht hota hai.
5) Ratri ke samay do- tin chhuhare dudh me ubalkar dudh pine or chhuhara khane se kuchh hi dino me nimn raktchap ki wikriti nasht hoti hai.
